Friday 31 March 2017

latest shayari

latest shayari



Hazaron khwahishen aisi ki har khwahish pe dum nikle,
Bahot nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle.

Larkay Ka Haath Dekh Ker Bola:
Beta Tum Bohat Parhoge
Larka:
Abay
Parh To Main 5 Saal Se Rha Hoon
Ye Bata Pass Kab Honga..?

Zindagi kisiki mohataz nahi hoti,
Dosti sirf jazbaat nahi hoti,
Kuch to khayal aaya hoga khuda ko,
Warna yuhi aapki humse mulaqat nahi hoti

Jindagi kisi ki amanat nahi hoti,
Amanat main kabhi kayamat nahi hoti,
Dil ko sambhal kar rakhna,
Meri dosti ki kaid main jamanat nahi hoti.

Nanhe se dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bhid main pehchan koi rakhna.
Ache nahi lagte jab rahte ho udas,
In hoto pe sada muskaan vahi rakhna.

Aapne dushman se hi dil laga baithe
Unki Saadgi se fareb kha baithe
Pattharon se tha Apna rishtaa..
Phir bhi Shishe ka Ghar bana baithe

Aapke shahar ka har mausam suhana lage,
Ek shaam chura loon aapki agar bura na lage,
Aap chahe bhula de hume ek pal me hi,
Aapko bhulane me shayad hume jamana lage.


Mohabbat Mujhay Un Jawano Se Hai
Jo Khatay Peetay Gharano Se Hain


Aaj Bagh Main Kali Hai, Kal Gulaab Ho Ga
Mujh Se Shadi Karlo, Tum Ko Sawab Ho Ga
(Jo Tum Say Shadi Karay,Is Ka Dimaagh Kharaab Ho Ga)


Itnay Dino Se Jalanay Nahi Aya
Galti Hui Aag Ko Bujhanay Nahi Aya
Kehta Tha Saath Jeeyain Gay Saath Marain Gay
Ab Rooth Gai Hoon To Ullu Ka Patha Mananay Bhi Nahi Aya



Kahu kis se ki kya kiya haishabe gam buri bala haimujhe kya bura tha marnagar ek baar hota


Na tha main to khuda tha,kuch na hota to khuda hotaĆ¢€¦mitaya mujh ko hone ne,na hota main to kya hota



Har baat par kehte ho tum ke tu kya haiTumhi batao yeh andaz-e-guftgu kya hairagon mai daudane ke ham nahi kayaljo aankh hi se na tapka woh lahu kya hai



 

No comments:

Post a Comment