Saturday 1 April 2017

popular sweet lovely shayari | poem

popular sweet lovely shayari | poem


Ek pedh jisne kabhi mujhe dhoop lagne na di,
Apne aanchal mein chupa ke rakha,
Nazar kisi ki lagne na di,
Yaad ate hai bachpan ke din jab tu mujhe khilati thi,
Har baar rone par tu hi mujhe hasati thi,
Acchi neend ke liye naajane kaha kaha se nayi loria,
Aur kahaniya lati thi, ro padhta hai yeh dil Jab Yaad unki aati hai.




Ye baat samajh me aayi nahi,
Aur mummy ne samajhai nahi.
Mai kaise mithi baat karu?
Jab mithi chiz koi khai nhi.
Ye chand kaise maamu hai?
Jab mumy ka wo bhai nahi.
Kyu lambe baal hai bhaalu ke?
Kyu usne treamming karai nahi.
Kya wo bi ganda bachha hai?
Ya jungle me koi naai nahi.
Nana ki biwi jab nani hai,
Dada ki biwi jab dadi hai.
Papa ki biwi kyon papi nahi?
Samundar ka rang kyu neela hai?
Jab neel kisi ne milai nahi.
Jab school me itni neend aati hai.
Toh kyu bed waha rakhwai nahi?
Ye baat samajh mein aayi nahi
Aur mummy ne samjhai nahi!!




Barish ke chham-chham bundo se,
kuch hosh mein main ab aaya hu,
Beet gaye ab din bachpan ke,
yeh saugat hai kyun main paya hun,
Wo din kitne rangile the,
jab sapne na koi sajile the,
Duniya mein kitni raunak thi,
kapde jab sbke gile the,
Ye kyun madhosh jawani aayi hai,
Berang tarange layi hai,
Guzar jati hai barsat bhe ab yun hi,
ek bar na khushiyan lai hai,To,
Bachpan ke wo din achhe the,
jab mauj mein hum sab bachhe the.

No comments:

Post a Comment